Bafaiz e Karam:
Tajdaar-e-Ahle Sunnat, Shabeeh-e-Ghaus-e-A'azam, Qutb-e-Aalam, Mujaddid ibn Mujaddide A'azam, Huzoor Mufti-e-A'azam, Muhammad Mustafa Raza Noorie Barkati (RadiyAllahu Ta'ala Anho)
DawateIslami ki wahaabiyon aur badmazhabon se hamdardi ka roshan subut...!!
Attari Shajre me Maujud...!!
Yeh baat bilkul wazeh hai ke Imaan ki hifazat har amal se badh kar aur har amal se pehle hai...
Yehi wajah hai ke tamaam buzurgaan deen aur ulma e Ahle sunnat bilkhusus Silsila-e-Razzawiyyah ke akabireen ne apne mureedon ke liye, badmazhabon se door rehni ki aur unse bachne ki ahem hidayat ko shajre me har hidayat se pehle tehreer farmaya.
Magar DawateIslami ke Ameer, Molvi Ilyas Attar...jo ke pehli hi se sulaah kulliyat aur wahaabiiyat nawaazi ki bimaari mein mubtila hain, unhe yeh hargiz gawaara na hua ke unke shajre me bhi badmazhabon ke khilaaf koi bhi baat tehreer ki jaye...(Ma'azAllah).
Isliye apni sulaahkulliyyat aur khuli gumraahiyat ka ek aur roshan subut dete hue unhone (Ilyas Attar ne) Badmazhabon se door rehne waali hidayat ko apne shajre mein rakha hi nahi...!!
Pehle hum aapke saamne apne daawe ke subut mein Shajra-e-Mustafaviyah (Shajrah Huzur Mufti-e-A'azam e Hind) aur Shajrah-e-Sirajiya (Shajrah Khalifa-e-Huzoor Mufti-e-A'azam Huzoor Siraje Millat) pesh karte hain jisme mureedon ke liye yeh ahem hidaayat maujud hai... Aur phir attari shajre ki copy pesh karke saabit karenge ke yeh Attari tehreek Islaam ki dawaat nahi balke Dawat-e-Shaitaani hai, ek gumraah aur wahaabiyyat nawaaz tehreek hai....!! Is Attari tehreek se bachna har sunni par laazim aur iska radd har Aalim par farz hai !!
1. Shajrah silsila Aaliya Qaadriyah Barkatiyah Razzaviyah Mustafaviyah
Shajrah Huzur Mufti-e-A'azam e Hind, Muhammad Mustafa Raza (RadiyAllahu Ta'ala anho)
Badmazhaboon se bachne ki aur unse se door rehni ki ahem hidaayat mureedon ke liye
shajre me maujud..